achanak aaj bhala kya dikha inhen tum mein
achānak aaj bhalā kyā dikhā inheñ tum meñ
balā kā karb hai ahbāb ke tabassum meñ
balā kī pyaas thī dariyā kā ruḳh nahīñ samjhe
ulajh ke bah ga.e ham tez-rau talātum meñ
tū mujh se aañkh milāne se bach rahā hai dost
koī to raaz nihāñ hai tire takallum meñ
sabhī ko ġharq hī honā hai ek din phir bhī
ulajh rahe haiñ safīne 'abas tasādum meñ
hameñ farār kī ḳhvāhish isī jahannum se
hameñ qarār bhī hāsil isī jahannum meñ
achanak aaj bhala kya dikha inhen tum mein
bala ka karb hai ahbab ke tabassum mein
bala ki pyas thi dariya ka ruKH nahin samjhe
ulajh ke bah gae hum tez-rau talatum mein
tu mujh se aankh milane se bach raha hai dost
koi to raaz nihan hai tere takallum mein
sabhi ko gharq hi hona hai ek din phir bhi
ulajh rahe hain safine 'abas tasadum mein
hamein farar ki KHwahish isi jahannum se
hamein qarar bhi hasil isi jahannum mein
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 68)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.