achchhe-achchhon ko nacha de dil-e-be-tab ki dhun
achchhe-achchhoñ ko nachā de dil-e-be-tāb kī dhun
kaisī pur-soz hai is zarra-e-sīmāb kī dhun
zamzama-ḳhvāñ dil-e-āshufta-navā ke aage
kaun suntā hai tire barbat-o-mizrāb kī dhun
chheḌ kar tār-e-nafas 'ālam-e-vahshat meñ kabhī
mutrib-e-rangīñ-navā sun dil-e-betāb kī dhun
qarya-e-jāñ meñ koī 'aks huā raqs-kunāñ
baj uThī chashm-e-tamannā meñ kisī ḳhvāb kī dhun
is udāsī bhare lahje kī sahar-angezī
goyā sahrā meñ koī chheḌ de mizrāb kī dhun
aañkh lagne nahīñ detā ye sadāoñ kā hujūm
shor kartī hai bahut TuuTe hue ḳhvāb kī dhun
achchhe-achchhon ko nacha de dil-e-be-tab ki dhun
kaisi pur-soz hai is zarra-e-simab ki dhun
zamzama-KHwan dil-e-ashufta-nawa ke aage
kaun sunta hai tere barbat-o-mizrab ki dhun
chheD kar tar-e-nafas 'alam-e-wahshat mein kabhi
mutrib-e-rangin-nawa sun dil-e-betab ki dhun
qarya-e-jaan mein koi 'aks hua raqs-kunan
baj uThi chashm-e-tamanna mein kisi KHwab ki dhun
is udasi bhare lahje ki sahar-angezi
goya sahra mein koi chheD de mizrab ki dhun
aankh lagne nahin deta ye sadaon ka hujum
shor karti hai bahut TuTe hue KHwab ki dhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.