agar mujhko tera sahaara na ho
agar mujh ko terā sahārā na ho
mirā is jahāñ meñ guzārā na ho
vo har baar ye kah ke baḳhshe ḳhatā
magar yaad rakhnā dubāra na ho
na rakh 'ishq meñ fā.ede kī umiid
agar chāhtā hai ḳhasārā na ho
muqaddar bhī us ko harāTā nahīñ
jise haar jaanā gavāra na ho
koī aisā fāteh mujhe bhī dikhā
kabhī zindagī meñ jo haarā na ho
tavajjoh tirī chāhtā huuñ maiñ par
tirā dhyān mujh pe hī saarā na ho
bashar meñ hoñ chāhe hunar laakh hī
par ehsāñ jatāne kā yaarā na ho
ye insāñ mileñge tire dar pe hī
ba-juz tere gar koī chāra na ho
bhañvar dekhtā hai safīne ko yuuñ
samundar kā goyā kinārā na ho
ḳhudārā na tum ko mile aisā shaḳhs
tumhārā jo ho kar tumhārā na ho
mohabbat ho gar to mohabbat ho bas
mohabbat kā phir goshvāra na ho
un āñkhoñ se phir pūchhnā merā haal
jo hiile se gar āshkārā na ho
kahīñ phir davā zahr lagne lage
koī zaḳhm itnā bhī pyārā na ho
agar mujh ko tera sahaara na ho
mera is jahan mein guzara na ho
wo har bar ye kah ke baKHshe KHata
magar yaad rakhna dubara na ho
na rakh 'ishq mein faede ki umid
agar chahta hai KHasara na ho
muqaddar bhi us ko haraTa nahin
jise haar jaana gawara na ho
koi aisa fateh mujhe bhi dikha
kabhi zindagi mein jo haara na ho
tawajjoh teri chahta hun main par
tera dhyan mujh pe hi sara na ho
bashar mein hon chahe hunar lakh hi
par ehsan jatane ka yara na ho
ye insan milenge tere dar pe hi
ba-juz tere gar koi chaara na ho
bhanwar dekhta hai safine ko yun
samundar ka goya kinara na ho
KHudara na tum ko mile aisa shaKHs
tumhaara jo ho kar tumhaara na ho
mohabbat ho gar to mohabbat ho bas
mohabbat ka phir goshwara na ho
un aankhon se phir puchhna mera haal
jo hile se gar aashkara na ho
kahin phir dawa zahr lagne lage
koi zaKHm itna bhi pyara na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.