ahd-e-jafa se wasl ka lamha juda karo
ahd-e-jafā se vasl kā lamha judā karo
manzil se gard gard se rasta judā karo
maiñ thā ki apne aap meñ ḳhālī sā ho gayā
us ne to kah diyā mirā hissa judā karo
is fikr-e-besh-o-kam ko bhulā kar kabhī mujhe
jitnī judā.ī shart hai utnā judā karo
shab-zād-gāñ tum ahl-e-nazar se nahīñ so tum
apnā madār apnā madīna judā karo
ik naqsh ho na paa.e idhar se udhar mirā
jaisā tumheñ milā thā maiñ vaisā judā karo
ahd-e-jafa se wasl ka lamha juda karo
manzil se gard gard se rasta juda karo
main tha ki apne aap mein KHali sa ho gaya
us ne to kah diya mera hissa juda karo
is fikr-e-besh-o-kam ko bhula kar kabhi mujhe
jitni judai shart hai utna juda karo
shab-zad-gan tum ahl-e-nazar se nahin so tum
apna madar apna madina juda karo
ek naqsh ho na pae idhar se udhar mera
jaisa tumhein mila tha main waisa juda karo
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 55)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.