ai mere thakte hue sae na kar takrar tu
ai mire thakte hue saa.e na kar takrār tū
ab safar meñ rah gayā hai ik mirā ġham-ḳhvār tū
is qadar masrūf thā vo shaḳhs us ne ek din
ḳhud se pūchhā āj-kal rahtā kahāñ hai yaar tū
baiThe baiThe yuuñ sirhāne kab se mujh bīmār ke
dekh merī maut ḳhud lagne lagī bīmār tū
chhoḌ kar zindāñ meñ tujh ko vo to kab ke jā chuke
jin kī tasvīreñ banātā hai sar-e-dīvār tū
ho rahā huuñ jo sar-e-sahrā zalīl-o-ḳhvār maiñ
ai kitāb-e-'ishq is hālat kī zimme-dār tū
sar na ḳham karne kī 'ādat ke natā.ej dekh le
mushtahar hai ab sar-e-kū-e-salīb-o-dār tū
ai mere thakte hue sae na kar takrar tu
ab safar mein rah gaya hai ek mera gham-KHwar tu
is qadar masruf tha wo shaKHs us ne ek din
KHud se puchha aaj-kal rahta kahan hai yar tu
baiThe baiThe yun sirhane kab se mujh bimar ke
dekh meri maut KHud lagne lagi bimar tu
chhoD kar zindan mein tujh ko wo to kab ke ja chuke
jin ki taswiren banata hai sar-e-diwar tu
ho raha hun jo sar-e-sahra zalil-o-KHwar main
ai kitab-e-'ishq is haalat ki zimme-dar tu
sar na KHam karne ki 'adat ke nataej dekh le
mushtahar hai ab sar-e-ku-e-salib-o-dar tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.