aisa nahin ki main ise bahla nahin raha
aisā nahīñ ki maiñ ise bahlā nahīñ rahā
jī ko kisī tarah bhī qarār aa nahīñ rahā
varna ye kār-e-'ishq mujhe hai bahut 'azīz
maiñ jān-būjh kar ise dohrā nahīñ rahā
chal DhūñDhte haiñ yaar nayā rāsta koī
ye dil kā rāsta to kahīñ jā nahīñ rahā
mumkin hai sulh tujh se bhī ho jaa.e zindagī
maiñ is se qabl ḳhud se ḳhafā thā nahīñ rahā
'tarkash' chalo ye maut kī nagrī bhī dekh leñ
jiine kā tajraba to kuchh achchhā nahīñ rahā
aisa nahin ki main ise bahla nahin raha
ji ko kisi tarah bhi qarar aa nahin raha
warna ye kar-e-'ishq mujhe hai bahut 'aziz
main jaan-bujh kar ise dohra nahin raha
chal DhunDhte hain yar naya rasta koi
ye dil ka rasta to kahin ja nahin raha
mumkin hai sulh tujh se bhi ho jae zindagi
main is se qabl KHud se KHafa tha nahin raha
'tarkash' chalo ye maut ki nagri bhi dekh len
jine ka tajraba to kuchh achchha nahin raha
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 38)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.