aisa thoDi hai achanak ye ghaDi aai hai
aisā thoḌī hai achānak ye ghaḌī aa.ī hai
vaqt ke saath udāsī meñ kamī aa.ī hai
paañv be-sāḳhta us or chale jaate haiñ
kaun rahtā hai yahāñ kis kī galī aa.ī hai
ab maiñ tanhā.ī kī bātoñ meñ to aane se rahā
ab nahīñ jā.ūñgī kahtī hai baḌī aa.ī hai
muddatoñ baa'd koī ḳhvāb nayā dekhā hai
sub.h-dam dil-numā paude pe kalī aa.ī hai
aisa thoDi hai achanak ye ghaDi aai hai
waqt ke sath udasi mein kami aai hai
panw be-saKHta us or chale jate hain
kaun rahta hai yahan kis ki gali aai hai
ab main tanhai ki baaton mein to aane se raha
ab nahin jaungi kahti hai baDi aai hai
muddaton ba'd koi KHwab naya dekha hai
subh-dam dil-numa paude pe kali aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.