aise waison se to ab pyar nahin kar sakta
aise vaisoñ se to ab pyaar nahīñ kar saktā
zindagī maiñ tujhe be-kār nahīñ kar saktā
karne vaalā hī to kartā hai karishme varna
har koī dariyā ba-zid paar nahīñ kar saktā
'ishq vo kaam hai sachchā ki mire ham-'asro
aisā vaisā ho adākār nahīñ kar saktā
mujh ko mahsūs jo karnā hai to yuuñ hī kar le
maiñ yaqīnan koī iz.hār nahīñ kar saktā
ḳhaar ko ḳhaar hī rakhtī hai ye ġhairat merī
aur jo hai phuul use ḳhaar nahīñ kar saktā
us kī ḳhvāhish hai to be-ḳhauf mire saath chale
varna chalne pe maiñ isrār nahīñ kar saktā
apnī bātoñ se mirī zaat pe gahrā jaadū
tum jo karte ho fusūñ-kār nahīñ kar saktā
sham' mahfil kī bujhe aur ta'alluq TuuTe
itnā 'muzmar' tumheñ lāchār nahīñ kar saktā
aise waison se to ab pyar nahin kar sakta
zindagi main tujhe be-kar nahin kar sakta
karne wala hi to karta hai karishme warna
har koi dariya ba-zid par nahin kar sakta
'ishq wo kaam hai sachcha ki mere ham-'asro
aisa waisa ho adakar nahin kar sakta
mujh ko mahsus jo karna hai to yun hi kar le
main yaqinan koi izhaar nahin kar sakta
KHar ko KHar hi rakhti hai ye ghairat meri
aur jo hai phul use KHar nahin kar sakta
us ki KHwahish hai to be-KHauf mere sath chale
warna chalne pe main israr nahin kar sakta
apni baaton se meri zat pe gahra jadu
tum jo karte ho fusun-kar nahin kar sakta
sham' mahfil ki bujhe aur ta'alluq TuTe
itna 'muzmar' tumhein lachaar nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.