aisi nafrat kahan se late ho
aisī nafrat kahāñ se laate ho
itnī zulmat kahāñ se laate ho
bech to dete ho zamīr apnā
ḳhud meñ ġhairat kahāñ se laate ho
ye ḳhumārī kahāñ se aatī hai
ye tabī'at kahāñ se laate ho
suunī rāhoñ ne aaj pūchh liyā
itnī vahshat kahāñ se laate ho
naukrī hai na kārobār koī
phir ye daulat kahāñ se laate ho
sochte rahte ho use din-rāt
itnī fursat kahāñ se laate ho
aisi nafrat kahan se late ho
itni zulmat kahan se late ho
bech to dete ho zamir apna
KHud mein ghairat kahan se late ho
ye KHumari kahan se aati hai
ye tabi'at kahan se late ho
suni rahon ne aaj puchh liya
itni wahshat kahan se late ho
naukri hai na karobar koi
phir ye daulat kahan se late ho
sochte rahte ho use din-raat
itni fursat kahan se late ho
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 95)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.