aman apni tarah aashna-e-fan to nahin
'amān' apnī tarah āshnā-e-fan to nahīñ
nashist-e-jāñ meñ koī apnā ham-suḳhan to nahīñ
nikal ke hujra-e-tanhā.ī se kisī se 'ishq
tumhāre kahne pe karte haiñ apnā man to nahīñ
burā na maan magar pūchhnā to paḌtā hai
ki bevafā.ī kahīñ tujh meñ fitratan to nahīñ
ye tū ne 'ishq jatāyā to maiñ ne maan liyā
hamāre biich magar aisā ġhāliban to nahīñ
qasam sabā kī ye ḳhushbū hai jānī-pahchānī
guloñ ke jism pe terā hī pairahan to nahīñ
kyoñ aaj manzar-e-shab itnā sahmā-sahmā hai
kisī charāġh kī zad par havā kā tan to nahīñ
hai Tuut jaane ke ḳhadshe meñ yaad kī kashtī
furāt-e-furqat-e-jāñ aaj maujzan to nahīñ
sadā.eñ aatī haiñ jangal se āh-o-zārī kī
pata karo ki parindoñ kī anjuman to nahīñ
'aman' apni tarah aashna-e-fan to nahin
nashist-e-jaan mein koi apna ham-suKHan to nahin
nikal ke hujra-e-tanhai se kisi se 'ishq
tumhaare kahne pe karte hain apna man to nahin
bura na man magar puchhna to paDta hai
ki bewafai kahin tujh mein fitratan to nahin
ye tu ne 'ishq jataya to main ne man liya
hamare bich magar aisa ghaaliban to nahin
qasam saba ki ye KHushbu hai jaani-pahchani
gulon ke jism pe tera hi pairahan to nahin
kyon aaj manzar-e-shab itna sahma-sahma hai
kisi charagh ki zad par hawa ka tan to nahin
hai Tut jaane ke KHadshe mein yaad ki kashti
furaat-e-furqat-e-jaan aaj maujzan to nahin
sadaen aati hain jangal se aah-o-zari ki
pata karo ki parindon ki anjuman to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.