ana ko kuchh is tarh se mat kar lo
anā ko kuchh is tarh se maat kar lo
zabāñ se nahīñ dil se kuchh baat kar lo
chubhan hai bahut chāñd kī raushnī meñ
jalā ke diyā narm ye raat kar lo
kase haiñ bahut tanz is zindagī ne
laḌo zindagī se use ghaat kar lo
vo hamdard insāñ bache hī kahāñ haiñ
farishta-sifat ḳhud kī hī zaat kar lo
ana ko kuchh is tarh se mat kar lo
zaban se nahin dil se kuchh baat kar lo
chubhan hai bahut chand ki raushni mein
jala ke diya narm ye raat kar lo
kase hain bahut tanz is zindagi ne
laDo zindagi se use ghat kar lo
wo hamdard insan bache hi kahan hain
farishta-sifat KHud ki hi zat kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.