andhi raat ke chehre par tariki ka ghaza tha
andhī raat ke chehre par tārīkī kā ġhāza thā
dhyān kī uThtī maujoñ meñ jazboñ kā āvāza thā
yuuñ to zaḳhm aur marham meñ ik fitrī samjhautā hai
lekin marham kyā kartā zaḳhm-e-mohabbat taaza thā
baasī phuul kī ḳhushbū ne saare 'uqde khol diye
us ke haath kī mehñdī se pahle sirf andāza thā
ham ko muqaddar chhoḌ gayā aur kisī dar par varna
jis par dastak denī thī vo us kā darvāza thā
ik mustahkam rishta hai bastī kā vīrāne se
ghar meñ motī bikhre the jangal meñ shīrāza thā
bastī kī pagDanDī se guzre the kuchh log abhī
'tālib' ham ko kyā mā'lūm Dolī thī kī janāza thā
andhi raat ke chehre par tariki ka ghaza tha
dhyan ki uThti maujon mein jazbon ka aawaza tha
yun to zaKHm aur marham mein ek fitri samjhauta hai
lekin marham kya karta zaKHm-e-mohabbat taza tha
basi phul ki KHushbu ne sare 'uqde khol diye
us ke hath ki mehndi se pahle sirf andaza tha
hum ko muqaddar chhoD gaya aur kisi dar par warna
jis par dastak deni thi wo us ka darwaza tha
ek mustahkam rishta hai basti ka virane se
ghar mein moti bikhre the jangal mein shiraaza tha
basti ki pagDanDi se guzre the kuchh log abhi
'talib' hum ko kya ma'lum Doli thi ki janaza tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.