apne andar dhyan lagae baiTha hun
apne andar dhyān lagā.e baiThā huuñ
āvāzoñ par kaan lagā.e baiThā huuñ
ā.īne meñ apnā 'aks hai maiñ jis par
kitne surḳh nishān lagā.e baiThā huuñ
dekh mire dushman kuchh bhī ho saktā hai
is baazī par jaan lagā.e baiThā huuñ
lafz bhī kārobār haiñ ek havāle se
maiñ bhī ek dukān lagā.e baiThā huuñ
duniyā khel tamāshā hai aur maiñ 'anvar'
daao par īmān lagā.e baiThā huuñ
apne andar dhyan lagae baiTha hun
aawazon par kan lagae baiTha hun
aaine mein apna 'aks hai main jis par
kitne surKH nishan lagae baiTha hun
dekh mere dushman kuchh bhi ho sakta hai
is bazi par jaan lagae baiTha hun
lafz bhi karobar hain ek hawale se
main bhi ek dukan lagae baiTha hun
duniya khel tamasha hai aur main 'anwar'
dao par iman lagae baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.