apne anjam tak nahin pahuncha
apne anjām tak nahīñ pahuñchā
dard ārām tak nahīñ pahuñchā
ek aisā bhī ranj hai dil meñ
jo mire jaam tak nahīñ pahuñchā
donoñ jānib thā hārne kā Dar
khel anjām tak nahīñ pahuñchā
phir tire baa'd koī dūsrā shaḳhs
dil-e-nākām tak nahīñ pahuñchā
vo mohabbat kā āḳhirī ḳhat thā
jo tire naam tak nahīñ pahuñchā
'umr-bhar kā mirā tamām safar
kisī anjām tak nahīñ pahuñchā
apne anjam tak nahin pahuncha
dard aaram tak nahin pahuncha
ek aisa bhi ranj hai dil mein
jo mere jam tak nahin pahuncha
donon jaanib tha haarne ka Dar
khel anjam tak nahin pahuncha
phir tere ba'd koi dusra shaKHs
dil-e-nakaam tak nahin pahuncha
wo mohabbat ka aaKHiri KHat tha
jo tere nam tak nahin pahuncha
'umr-bhar ka mera tamam safar
kisi anjam tak nahin pahuncha
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 87)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.