Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne man mein jhank kar bhi KHud se begana raha

Dr. Naresh

apne man mein jhank kar bhi KHud se begana raha

Dr. Naresh

MORE BYDr. Naresh

    apne man meñ jhāñk kar bhī ḳhud se begāna rahā

    haqīqat āshnā ho kar bhī dīvāna rahā

    ruḳh agarche jānib-e-ka.aba rahā hai shaiḳh

    dil magar yād-e-butāñ se ik parī-ḳhāna rahā

    sañg-e-asvad ko diyā bosa to dil kahne lagā

    ka.aba-o-qibla se kitnī duur but-ḳhāna rahā

    ek din kar zarā sach kah diyā thā umr bhar

    shakl se bezār merī pīr-e-mai-ḳhāna rahā

    ishq ne baḳhshī hai vo shohrat 'naresh' ik umr tak

    bachche bachche zabāñ par merā afsāna rahā

    apne man mein jhank kar bhi KHud se begana raha

    tu haqiqat aashna ho kar bhi diwana raha

    ruKH agarche jaanib-e-kaba raha hai shaiKH ka

    dil magar yaad-e-butan se ek pari-KHana raha

    sang-e-aswad ko diya bosa to dil kahne laga

    kaba-o-qibla se kitni dur but-KHana raha

    ek din pi kar zara sach kah diya tha umr bhar

    shakl se bezar meri pir-e-mai-KHana raha

    ishq ne baKHshi hai wo shohrat 'naresh' ek umr tak

    bachche bachche ki zaban par mera afsana raha

    Source:

    Khushboo Ka Safar (Pg. 42)

    • Author: Dr. Naresh
      • Publisher: Navjot Publications Malerkotla, Punjab
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now