apni buniyaad tere dil mein uThana hai mujhe
apnī buniyād tire dil meñ uThānā hai mujhe
naqsh banñe kā nahīñ phir bhī banānā hai mujhe
terī āñkhoñ se ye andāza kahāñ hotā hai
aa chukā huuñ tirī duniyā meñ ki aanā hai mujhe
tere hamrāh to maiñ yūñhī chalā aayā thā
apne hisse kī abhī ḳhaak uḌānā hai mujhe
ye jo āvāz kī lahr uTThī hai in āñkhoñ meñ
ab isī lahr pe bahte chale jaanā hai mujhe
kashtī-e-jāñ meñ mire ham-safaroñ meñ shāmil
kitne dariyā haiñ jinheñ paar lagānā hai mujhe
Dhalte Dhalte ye mah-o-sāl kī sūrat meñ Dhalā
ab mirā dil bhī zamānoñ sā zamāna hai mujhe
merā vā'da hai ġhubār-e-rah-e-dil se 'shāhīn'
abhī is dhuul meñ kuchh din nazar aanā hai mujhe
apni buniyaad tere dil mein uThana hai mujhe
naqsh banne ka nahin phir bhi banana hai mujhe
teri aankhon se ye andaza kahan hota hai
aa chuka hun teri duniya mein ki aana hai mujhe
tere hamrah to main yunhi chala aaya tha
apne hisse ki abhi KHak uDana hai mujhe
ye jo aawaz ki lahr uTThi hai in aankhon mein
ab isi lahr pe bahte chale jaana hai mujhe
kashti-e-jaan mein mere ham-safaron mein shamil
kitne dariya hain jinhen par lagana hai mujhe
Dhalte Dhalte ye mah-o-sal ki surat mein Dhala
ab mera dil bhi zamanon sa zamana hai mujhe
mera wa'da hai ghubar-e-rah-e-dil se 'shahin'
abhi is dhul mein kuchh din nazar aana hai mujhe
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 33)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.