asar baDe se baDa waqia nahin karta
asar baḌe se baḌā vāqi'a nahīñ kartā
galī meñ koī darīcha bhī vā nahīñ kartā
khaḌe khaḌe mujhe bāhar nikāl detā hai
vo apne ghar meñ takalluf zarā nahīñ kartā
khulā huā na mile dar to lauT aatā huuñ
maiñ dastakeñ nahīñ detā sadā nahīñ kartā
bhulā sake na jise ham kabhī ḳhudā jaane
hameñ vo yaad bhī kartā hai yā nahīñ kartā
'sha'ūr' aap ko ḳhud par yaqīn hī to nahīñ
yaqīn ho to bhalā koī kyā nahīñ kartā
asar baDe se baDa waqi'a nahin karta
gali mein koi daricha bhi wa nahin karta
khaDe khaDe mujhe bahar nikal deta hai
wo apne ghar mein takalluf zara nahin karta
khula hua na mile dar to lauT aata hun
main dastaken nahin deta sada nahin karta
bhula sake na jise hum kabhi KHuda jaane
hamein wo yaad bhi karta hai ya nahin karta
'sha'ur' aap ko KHud par yaqin hi to nahin
yaqin ho to bhala koi kya nahin karta
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 85)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.