aur ziyaada sanjida ho kar lauTe
aur ziyāda sanjīda ho kar lauTe
mele se ham ranjīda ho kar lauTe
tere shaidā.ī tere altāf ke baa'd
apne uupar girvīda ho kar lauTe
itnī tuġhyānī thī niiñd ke sāhil par
saare sapne nam-dīda ho kar lauTe
pahle ham ne dauḌ lagā.ī sūraj tak
phir dhartī par nādīda ho kar lauTe
tū dā'vā kartā thā sahl banāne kā
lekin ham to pechīda ho kar lauTe
kuchh lamhe jo sirf ḳhayāloñ meñ guzre
vo ḳhvāboñ meñ poshīda ho kar lauTe
koī in se mil kar shāyad royā thā
ab ke mausam bosīda ho kar lauTe
aur ziyaada sanjida ho kar lauTe
mele se hum ranjida ho kar lauTe
tere shaidai tere altaf ke ba'd
apne upar girwida ho kar lauTe
itni tughyani thi nind ke sahil par
sare sapne nam-dida ho kar lauTe
pahle hum ne dauD lagai suraj tak
phir dharti par nadida ho kar lauTe
tu da'wa karta tha sahl banane ka
lekin hum to pechida ho kar lauTe
kuchh lamhe jo sirf KHayalon mein guzre
wo KHwabon mein poshida ho kar lauTe
koi in se mil kar shayad roya tha
ab ke mausam bosida ho kar lauTe
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 105)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.