Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baad muddat hi sahi din ye suhane aae

Mohsin Kashmiri

baad muddat hi sahi din ye suhane aae

Mohsin Kashmiri

MORE BYMohsin Kashmiri

    baad muddat sahī din ye suhāne aa.e

    aaj shab vo mujhe jaam pilāne aa.e

    ke mad.hosh banā baiThā tirī yādoñ meñ

    so.e ḳhvāboñ ko mire phir se jagāne aa.e

    dekho in chalte hue vaqt ke tūfānoñ ko

    ḳhauf furqat hameñ yaar dikhāne aa.e

    ham haiñ ġhaddār to pāband-e-vafā tum ho kyā

    phir bhī ham rasm-e-vafā tum se nibhāne aa.e

    ik tirī yaad hai barsāt hai tanhā.ī hai

    kaash ham se milne ke bahāne aa.e

    baad muddat hi sahi din ye suhane aae

    aaj ki shab wo mujhe jam pilane aae

    pi ke madhosh bana baiTha teri yaadon mein

    soe KHwabon ko mere phir se jagane aae

    dekho in chalte hue waqt ke tufanon ko

    KHauf furqat ka hamein yar dikhane aae

    hum hain ghaddar to paband-e-wafa tum ho kya

    phir bhi hum rasm-e-wafa tum se nibhane aae

    ek teri yaad hai barsat hai tanhai hai

    kash hum se hi tu milne ke bahane aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now