Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baat jo ki thi dil-lagi ke liye

Dr. Naresh

baat jo ki thi dil-lagi ke liye

Dr. Naresh

MORE BYDr. Naresh

    baat jo thī dil-lagī ke liye

    ban ga.ī baar zindagī ke liye

    tere jaane ke baad barsoñ tak

    lab taraste rahe hañsī ke liye

    terī aamad gar yaqīñ hotā

    aur lete ik ghaḌī ke liye

    ḳhūn-e-dil ke muskurāte raho

    ye bhī lāzim hai zindagī ke liye

    ziist se kab ke aa chuke aajiz

    rahe haiñ magar kisī ke liye

    tan ke maare se kuchh nahīñ hogā

    man ko maaro qalandarī ke liye

    dard ġham rañj aah naala fuġhāñ

    ai 'naresh' ek aap ke liye

    baat jo ki thi dil-lagi ke liye

    ban gai bar zindagi ke liye

    tere jaane ke baad barson tak

    lab taraste rahe hansi ke liye

    teri aamad ka gar yaqin hota

    aur ji lete ek ghaDi ke liye

    KHun-e-dil pi ke muskuraate raho

    ye bhi lazim hai zindagi ke liye

    zist se kab ke aa chuke aajiz

    ji rahe hain magar kisi ke liye

    tan ke mare se kuchh nahin hoga

    man ko maro qalandari ke liye

    dard gham ranj aah nala fughan

    ai 'naresh' ek aap hi ke liye

    Source:

    Khushboo Ka Safar (Pg. 93)

    • Author: Dr. Naresh
      • Publisher: Navjot Publications Malerkotla, Punjab
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now