Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut hua to meri mohabbat teri gali tak safar karegi

Khumar Qureshi

bahut hua to meri mohabbat teri gali tak safar karegi

Khumar Qureshi

MORE BYKhumar Qureshi

    bahut huā to mirī mohabbat tirī galī tak safar karegī

    gulāb jaisī hikāyatoñ ko idhar udhar mo'atabar karegī

    ye terī āñkhoñ sub.h-e-ḳhandāñ ye terī zulfoñ shām-e-imkāñ

    ba-juz qayāmat ye kuchh nahīñ hai tabāh ye sar-basar karegī

    ufaq ufaq intiḳhāb-e-jānāñ taraf taraf rañg-o-bū-e-ḳhūbāñ

    ik aise aalam meñ shab hamārī charāġh le kar sahar karegī

    hamīñ haiñ vāmānda-e-dil-o-jāñ hamīñ haiñ taqrīb-e-dil sāmāñ

    hamāre raste meñ dasht-o-sahrā be-navā.ī bhī ghar karegī

    idhar nasheb-e-adam se nikle udhar farāz-e-adam meñ Duube

    hameñ ye duniyā firāq de kar kise bahisht-e-nazar karegī

    ye shahr-e-gul-e-barg havā bhī hamāre haq meñ sumūm Thahrī

    ġhazal hameñ itnā yaad rakhnā ye jitnā sarf-e-nazar karegī

    bahut hua to meri mohabbat teri gali tak safar karegi

    gulab jaisi hikayaton ko idhar udhar mo'atabar karegi

    ye teri aankhon ki subh-e-KHandan ye teri zulfon ki sham-e-imkan

    ba-juz qayamat ye kuchh nahin hai tabah ye sar-basar karegi

    ufaq ufaq intiKHab-e-jaanan taraf taraf rang-o-bu-e-KHuban

    ek aise aalam mein shab hamari charagh le kar sahar karegi

    hamin hain wamanda-e-dil-o-jaan hamin hain taqrib-e-dil ka saman

    hamare raste mein dasht-o-sahra ki be-nawai bhi ghar karegi

    idhar nasheb-e-adam se nikle udhar faraaz-e-adam mein Dube

    hamein ye duniya firaq de kar kise bahisht-e-nazar karegi

    ye shahr-e-gul-e-barg ki hawa bhi hamare haq mein sumum Thahri

    ghazal hamein itna yaad rakhna ye jitna sarf-e-nazar karegi

    Source:

    Paiwand-e-Khasta Badban (Pg. 66)

    • Author: Khumar Qureshi
      • Publisher: Diamond Process, Hyderabad
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now