ban gaya sina mera madfan dil-e-betab ka
ban gayā siina mirā madfan dil-e-betāb kā
dekhiye anjām kyā ho dīda-e-ḳhūñ-nāb kā
dil pe kyā guzrī dam-e-furqat batā.ūñ kis tarah
haal dekhā hai nā tum ne māhī-e-be-āb kā
bech aa.e ho suḳhan bhī az-rah-e-nām-o-numūd
kis qadar hai shauq tum ko tamġha-o-alqāb kā
raas aatā hī nahīñ dil ko hujūm-e-dostāñ
muḳhtasar hai is liye halqa mire ahbāb kā
bulbul-e-ḳhush-lahn kī bhī naġhmagī jaatī rahī
yaar kitnā talḳh hai lahja tirī mizrāb kā
bā-ḳhudā us shaḳhs kī raushan jabīñ ke sāmne
rang phīkā paḌ gayā thā ‘āriz-e-mahtāb kā
raat us vahshat-sifat ko muskurātā dekh kar
sub.h-dam sadqa utārā ham ne apne ḳhvāb kā
ban gaya sina mera madfan dil-e-betab ka
dekhiye anjam kya ho dida-e-KHun-nab ka
dil pe kya guzri dam-e-furqat bataun kis tarah
haal dekha hai na tum ne mahi-e-be-ab ka
bech aae ho suKHan bhi az-rah-e-nam-o-numud
kis qadar hai shauq tum ko tamgha-o-alqab ka
ras aata hi nahin dil ko hujum-e-dostan
muKHtasar hai is liye halqa mere ahbab ka
bulbul-e-KHush-lahn ki bhi naghmagi jati rahi
yar kitna talKH hai lahja teri mizrab ka
ba-KHuda us shaKHs ki raushan jabin ke samne
rang phika paD gaya tha ‘ariz-e-mahtab ka
raat us wahshat-sifat ko muskuraata dekh kar
subh-dam sadqa utara hum ne apne KHwab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.