bhaTak na jae phir insan rah dikhao zara
bhaTak na jaa.e phir insān rah dikhāo zarā
charāġh phir se añdheroñ meñ tum jalāo zarā
jo maañg lete salīqe se jaan de dete
magar daġhā se tumheñ kyā milā batāo zarā
vo de gayā hai daġhā jis se kī vafā barsoñ
vafā kī kis se ab ummīd ho batāo zarā
agar ġhazal meñ tumhārī davā-e-dard bhī hai
to aao mere qarīb aur ġhazal sunāo zarā
'rafīq' manzileñ āsā.ishoñ se bhāgtī haiñ
tumhāre peT pe patthar hai kyā dikhāo zarā
bhaTak na jae phir insan rah dikhao zara
charagh phir se andheron mein tum jalao zara
jo mang lete saliqe se jaan de dete
magar dagha se tumhein kya mila batao zara
wo de gaya hai dagha jis se ki wafa barson
wafa ki kis se ab ummid ho batao zara
agar ghazal mein tumhaari dawa-e-dard bhi hai
to aao mere qarib aur ghazal sunao zara
'rafiq' manzilen aasaishon se bhagti hain
tumhaare peT pe patthar hai kya dikhao zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.