Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bigaDne wala kisi din sanwar hi jaega

Sabeela Inam Siddiqui

bigaDne wala kisi din sanwar hi jaega

Sabeela Inam Siddiqui

MORE BYSabeela Inam Siddiqui

    bigaḌne vaalā kisī din sañvar jā.egā

    mizāj-e-dost bil-āḳhir sudhar jā.egā

    marīz-e-ishq abhī bekalī meñ hai lekin

    buḳhār ek din us utar jā.egā

    jo phuul aaj sar-e-shāḳh hai mahaktā huā

    vo ek mauj-e-sabā meñ bikhar jā.egā

    guzar rahī hai pareshān zindagī lekin

    chale chalo ki ye rasta guzar jā.egā

    isī ḳhayāl se nekī zarūr kartī huuñ

    ki buuñd buuñd se tālāb bhar jā.egā

    jo gir ke raah meñ uThne azm rakhtā hai

    vo paar aag dariyā bhī kar jā.egā

    ye soch kar ravābit meñ ijz bhī rakhnā

    hai jis ḳhaak jahāñ udhar jā.egā

    'sabīla' ḳhvāb meñ vo sair ko agar nikle

    uḌan-khaTole pe pariyoñ ke ghar jā.egā

    bigaDne wala kisi din sanwar hi jaega

    mizaj-e-dost bil-aKHir sudhar hi jaega

    mariz-e-ishq abhi bekali mein hai lekin

    buKHar ek din us ka utar hi jaega

    jo phul aaj sar-e-shaKH hai mahakta hua

    wo ek mauj-e-saba mein bikhar hi jaega

    guzar rahi hai pareshan zindagi lekin

    chale chalo ki ye rasta guzar hi jaega

    isi KHayal se neki zarur karti hun

    ki bund bund se talab bhar hi jaega

    jo gir ke rah mein uThne ka azm rakhta hai

    wo par aag ka dariya bhi kar hi jaega

    ye soch kar hi rawabit mein ijz bhi rakhna

    hai jis ki KHak jahan ki udhar hi jaega

    'sabila' KHwab mein wo sair ko agar nikle

    uDan-khaTole pe pariyon ke ghar hi jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now