chaman ki har kali har phul muskae to behtar ho

chaman ki har kali har phul muskae to behtar ho
Seema Vijayvargeeya
MORE BYSeema Vijayvargeeya
chaman kī har kalī har phuul muskā.e to behtar ho
agar thoḌā bhī ye manzar badal jaa.e to behtar ho
haiñ ik gaaḌī ke do pahiye yahāñ kamtar kahāñ koī
safar mil-jul ke aapas meñ jo kaT jaa.e to behtar ho
ye nadiyā aur sāgar ke to rishte haiñ bahut gahre
na.ī dhārā bhī rishtoñ ko samajh paa.e to behtar ho
kahāñ vo raas ke manzar kahāñ gokul kī vo galiyāñ
vo murlī phir ḳhushī se jhuum kar gaa.e to behtar ho
bhalā ik dūsre ko dosh de kar kyoñ girā.eñ ham
agar insān thoḌā ḳhud sañbhal jaa.e to behtar ho
manuj kyā devtā bhī sab pale haiñ jis ke āñchal meñ
use bhī pyaar aur sammān mil jaa.e to behtar ho
chaman ki har kali har phul muskae to behtar ho
agar thoDa bhi ye manzar badal jae to behtar ho
hain ek gaDi ke do pahiye yahan kamtar kahan koi
safar mil-jul ke aapas mein jo kaT jae to behtar ho
ye nadiya aur sagar ke to rishte hain bahut gahre
nai dhaara bhi rishton ko samajh pae to behtar ho
kahan wo ras ke manzar kahan gokul ki wo galiyan
wo murli phir KHushi se jhum kar gae to behtar ho
bhala ek dusre ko dosh de kar kyon giraen hum
agar insan thoDa KHud sanbhal jae to behtar ho
manuj kya dewta bhi sab pale hain jis ke aanchal mein
use bhi pyar aur samman mil jae to behtar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.