dabe lafzon kiya wada ba-KHubi hum nibhaenge
dabe lafzon kiya wada ba-KHubi hum nibhaenge
Syed Kamran Zubair Kaamii
MORE BYSyed Kamran Zubair Kaamii
dabe lafzoñ kiyā vā'da ba-ḳhūbī ham nibhā.eñge
mohabbat kā taqāzā hai na tum ko bhuul pā.eñge
girā kar parde palkoñ ke namī-ḳhurda nigāhoñ par
tumhārī yaad meñ kho kar shab-e-furqat bitā.eñge
bahā le jā.egā sailāb-e-girya ḳhema-e-jāñ ko
tanābeñ khīñch bhī leñ to use kab tak bachā.eñge
be-andāza mile haiñ ḳhūbī-e-taqdīr se ham ko
ḳhudā mā'lūm ye ambār-e-ġham kaise uThā.eñge
nahīñ miltā koī mā'qūl istidlāl jiine kā
jahān-e-fānī-e-be-rang qasdan chhoḌ jā.eñge
mahaktī shāḳh se hogī mo'attar phir mashām-e-jāñ
jo gul-andām ko chashm-e-tasavvur meñ sajā.eñge
akele aa.e the ham to dayār-e-'ishq meñ 'kāmī'
na jaane kyoñ ye lagtā hai akele lauT jā.eñge
dabe lafzon kiya wa'da ba-KHubi hum nibhaenge
mohabbat ka taqaza hai na tum ko bhul paenge
gira kar parde palkon ke nami-KHurda nigahon par
tumhaari yaad mein kho kar shab-e-furqat bitaenge
baha le jaega sailab-e-girya KHema-e-jaan ko
tanaben khinch bhi len to use kab tak bachaenge
be-andaza mile hain KHubi-e-taqdir se hum ko
KHuda ma'lum ye ambar-e-gham kaise uThaenge
nahin milta koi ma'qul istidlal jine ka
jahan-e-fani-e-be-rang qasdan chhoD jaenge
mahakti shaKH se hogi mo'attar phir masham-e-jaan
jo gul-andam ko chashm-e-tasawwur mein sajaenge
akele aae the hum to dayar-e-'ishq mein 'kaami'
na jaane kyon ye lagta hai akele lauT jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.