dil mein ek dusre ki kami ishq hai
dil meñ ik dūsre kī kamī 'ishq hai
zindagī kuchh nahīñ zindagī 'ishq hai
kaif mastī lagāvaT junūñ tishnagī
be-qarārī tapish be-ḳhudī 'ishq hai
sharm se jab kisī ne kahā kuchh nahīñ
dil ne dil se kahā haañ yahī 'ishq hai
justujū meñ tirī aarzū meñ tirī
dil dhaḌakne kā ehsās bhī 'ishq hai
dil mein ek dusre ki kami 'ishq hai
zindagi kuchh nahin zindagi 'ishq hai
kaif masti lagawaT junun tishnagi
be-qarari tapish be-KHudi 'ishq hai
sharm se jab kisi ne kaha kuchh nahin
dil ne dil se kaha han yahi 'ishq hai
justuju mein teri aarzu mein teri
dil dhaDakne ka ehsas bhi 'ishq hai
- Book : Ishq (Pg. 28)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.