ek lamha tumhaare jaane ka
ek lamha tumhāre jaane kā
fāsla lag gayā zamāne kā
hathkaḌī to vo ḳhud banātā hai
kyā lagā.eñ pata Thikāne kā
phone par dhamkiyāñ nahīñ achchhī
fā.eda aise haq jatāne kā
giit candle dinner du'ā bārish
koī andāz ho manāne kā
sab se pahle tumheñ sunā.eñge
she'r jab bhī huā sunāne kā
ek lamha tumhaare jaane ka
fasla lag gaya zamane ka
hathkaDi to wo KHud banata hai
kya lagaen pata Thikane ka
phone par dhamkiyan nahin achchhi
faeda aise haq jatane ka
git candle dinner du'a barish
koi andaz ho manane ka
sab se pahle tumhein sunaenge
she'r jab bhi hua sunane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.