ham-zaban ho gae hum log shanasai hui

Rahbar sultani

ham-zaban ho gae hum log shanasai hui

Rahbar sultani

MORE BY Rahbar sultani

  ham-zabāñ ho ga.e ham log shanāsā.ī huī

  shab ke sannāToñ meñ jab rū-ba-rū tanhā.ī huī

  aap bazm se uTh jaanā mire haq meñ rahā

  aap ke baad mirī ḳhuub pazīrā.ī huī

  pyaas zaḳhmī rahī zindān ke darvāzoñ tak

  bahte dariyāo kahāñ tum se masīhā.ī huī

  pahle kuchh abr ke TukḌoñ thā larzāñ us par

  baad meñ kyā huā kyoñ shakl thī gahnā.ī huī

  merī bastī to dil-āzār pasand bastī hai

  kyoñ tire shahr meñ mehmān rusvā.ī huī

  ek muddat huī jis laash ko dafnā.e hue

  aaj vo laash milī nahr meñ utrā.ī huī

  sirf mīrās-e-shahādat nahīñ hisse meñ

  daulat-e-girya-e-mazlūm bhī ābā.ī huī

  ham-zaban ho gae hum log shanasai hui

  shab ke sannaTon mein jab ru-ba-ru tanhai hui

  aap ka bazm se uTh jaana mere haq mein raha

  aap ke baad meri KHub pazirai hui

  pyas zaKHmi rahi zindan ke darwazon tak

  bahte dariyao kahan tum se masihai hui

  pahle kuchh abr ke TukDon sa tha larzan us par

  baad mein kya hua kyon shakl thi gahnai hui

  meri basti to dil-azar pasand basti hai

  kyon tere shahr mein mehman ki ruswai hui

  ek muddat hui jis lash ko dafnae hue

  aaj wo lash mili nahr mein utrai hui

  sirf miras-e-shahadat hi nahin hisse mein

  daulat-e-girya-e-mazlum bhi aabai hui

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY