Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn ki ranginiyon ka zikr har mahfil mein hai

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

husn ki ranginiyon ka zikr har mahfil mein hai

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    husn rañgīniyoñ zikr har mahfil meñ hai

    shauq tūfāñ nihāñ lekin sukūt-e-dil meñ hai

    rahguzar bhī rāh-rau bhī rāhbar bhī dil sadā

    gar kisī manzil meñ hai to shauq manzil meñ hai

    tum ne dekhā hai tabassum rañg aur ra.anā.iyāñ

    zaḳhm bhī dekhā kabhī jo phuul ke bhī dil meñ hai

    vo bhī majbūr-e-vafā hai maiñ bhī majbūr-e-vafā

    maiñ bhī kis mushkil meñ huuñ aur vo bhī kis mushkil meñ hai

    vo tabassum vo nigah aur vo adā.eñ ḳhaas ḳhaas

    raushnī kin kin charāġhoñ na jaane dil meñ hai

    tā-dam-e-āḳhir raheñge hasratoñ ke silsile

    ek hasrat dil se niklī ek hasrat dil meñ hai

    chal rahā huuñ maiñ agarche kārvāñ ke saath

    ek tanhā.ī aalam har qadam par dil meñ hai

    rahne do lahroñ pe merī kashtī-e-kuhna 'habīb'

    ḳhūgar-e-tūfāñ turbat ik kaf-e-sāhil meñ hai

    husn ki ranginiyon ka zikr har mahfil mein hai

    shauq ka tufan nihan lekin sukut-e-dil mein hai

    rahguzar bhi rah-rau bhi rahbar bhi dil sada

    gar kisi manzil mein hai to shauq ki manzil mein hai

    tum ne dekha hai tabassum rang aur ranaiyan

    zaKHm bhi dekha kabhi jo phul ke bhi dil mein hai

    wo bhi majbur-e-wafa hai main bhi majbur-e-wafa

    main bhi kis mushkil mein hun aur wo bhi kis mushkil mein hai

    wo tabassum wo nigah aur wo adaen KHas KHas

    raushni kin kin charaghon ki na jaane dil mein hai

    ta-dam-e-aKHir rahenge hasraton ke silsile

    ek hasrat dil se nikli ek hasrat dil mein hai

    chal raha hun main agarche karwan ke sath

    ek tanhai ka aalam har qadam par dil mein hai

    rahne do lahron pe meri kashti-e-kuhna 'habib'

    KHugar-e-tufan ki turbat ek kaf-e-sahil mein hai

    Source:

    نغمۂ زندگی (Pg. 79)

    • Author: جے کرشن چودھری حبیب
      • Publisher: جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now