ek ajnabi se pyar kiya hae kya kiya
ik ajnabī se pyaar kiyā haa.e kyā kiyā
ḳhud dil ko taar taar kiyā haa.e kyā kiyā
dil ko sukūt-e-dard pe maa.il bhī kar liyā
āñkhoñ ko ābshār kiyā haa.e kyā kiyā
jab dil mirā har ek tamanna se bhar gayā
phir terā intizār kiyā haa.e kyā kiyā
mayyat pe merī aayā hai le kar raqīb ko
us vaqt mujh pe vaar kiyā haa.e kyā kiyā
ye 'ishq ek raaz thā duniyā ke vāste
aur tum ne ishtihār kiyā haa.e kyā kiyā
ek ajnabi se pyar kiya hae kya kiya
KHud dil ko tar tar kiya hae kya kiya
dil ko sukut-e-dard pe mail bhi kar liya
aankhon ko aabshaar kiya hae kya kiya
jab dil mera har ek tamanna se bhar gaya
phir tera intizar kiya hae kya kiya
mayyat pe meri aaya hai le kar raqib ko
us waqt mujh pe war kiya hae kya kiya
ye 'ishq ek raaz tha duniya ke waste
aur tum ne ishtihaar kiya hae kya kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.