ek naya manzar har ek kawish ke pas-manzar mein tha
ik nayā manzar har ik kāvish ke pas-manzar meñ thā
koh-paimānī kā saudā kohkan ke sar meñ thā
har izāfat se judā hotā to tujh ko jāntā
aadmī vaqt-o-makāñ ke gumbad-e-be-dar meñ thā
dast-e-qātil kā irāda sab pe zāhir thā magar
sab se poshīda thā vo mafhūm jo ḳhanjar meñ thā
kaun batlā.e ki be-mā'nī hai ashyā kā tazād
ye haqīqat hai ki har zarḳhez ik banjar meñ thā
jism kī dīvār se Takrā ke nazreñ muḌ ga.iiñ
log bāhar DhūñDhte the aur maiñ apne ghar meñ thā
chashm-e-basta se thā maiñ āvāra-e-dasht-o-jabal
jab khulīñ āñkheñ to maiñ leTā huā bistar meñ thā
ek naya manzar har ek kawish ke pas-manzar mein tha
koh-paimani ka sauda kohkan ke sar mein tha
har izafat se juda hota to tujh ko jaanta
aadmi waqt-o-makan ke gumbad-e-be-dar mein tha
dast-e-qatil ka irada sab pe zahir tha magar
sab se poshida tha wo mafhum jo KHanjar mein tha
kaun batlae ki be-ma'ni hai ashya ka tazad
ye haqiqat hai ki har zarKHez ek banjar mein tha
jism ki diwar se Takra ke nazren muD gain
log bahar DhunDhte the aur main apne ghar mein tha
chashm-e-basta se tha main aawara-e-dasht-o-jabal
jab khulin aankhen to main leTa hua bistar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.