is daur ka meyar samajh mein nahin aata
is daur kā me'yār samajh meñ nahīñ aatā
kyā likhte haiñ fankār samajh meñ nahīñ aatā
ai shahr-e-junūñ terī 'ajab āb-o-havā hai
har shaḳhs hai bīmār samajh meñ nahīñ aatā
is ran meñ sab apne hī to haiñ mere muqābil
maiñ kis pe karūñ vaar samajh meñ nahīñ aatā
ab kis ke sabab khātī hai hachkole ye kashtī
hai kaun gunahgār samajh meñ nahīñ aatā
suntā huuñ to kaT jaate haiñ par hosh-o-ḳhirad ke
paḌhtā huuñ to aḳhbār samajh meñ nahīñ aatā
is shahr meñ kuchh phuul se jismoñ pe bhī 'najmī'
likkhā hai ḳhabar-dār samajh meñ nahīñ aatā
is daur ka me'yar samajh mein nahin aata
kya likhte hain fankar samajh mein nahin aata
ai shahr-e-junun teri 'ajab aab-o-hawa hai
har shaKHs hai bimar samajh mein nahin aata
is ran mein sab apne hi to hain mere muqabil
main kis pe karun war samajh mein nahin aata
ab kis ke sabab khati hai hachkole ye kashti
hai kaun gunahgar samajh mein nahin aata
sunta hun to kaT jate hain par hosh-o-KHirad ke
paDhta hun to aKHbar samajh mein nahin aata
is shahr mein kuchh phul se jismon pe bhi 'najmi'
likkha hai KHabar-dar samajh mein nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.