Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jigar ko dagh main manind-e-lala kya karta

Haidar Ali Aatish

jigar ko dagh main manind-e-lala kya karta

Haidar Ali Aatish

MORE BYHaidar Ali Aatish

    jigar ko daaġh maiñ mānind-e-lāla kyā kartā

    labālab apne lahū piyāla kyā kartā

    milā na sarv ko kuchh apnī rāstī meñ phal

    kulāh kaj jo na kartā to laala kyā kartā

    jarīda meñ rah-e-pur-ḳhūn-e-ishq se guzrā

    jaras se qāfile meñ bahs-e-nāla kyā kartā

    junūn-e-ishq meñ rahnā thā imtiyāz na kuchh

    chakor tauq-e-gulū mah haala kyā kartā

    bajā kiyā use toḌā jo sar se dariyā ke

    habāb le ke ye ḳhālī piyāla kyā kartā

    na khāyā ġhussa kabhī ḳhvānche se qismat ke

    phañse jo halq meñ maiñ vo nivāla kyā kartā

    balā-e-bad huī dāġhoñ se sardī-e-kāfūr

    sulūk nek zarā.at se zhāla kyā kartā

    diyā navishta na us but ko dil ke tuude meñ

    ḳhudā ke ghar bhalā maiñ qabāla kyā kartā

    safā huā na riyāzat se nafs-e-ammāra

    koī najāsat-e-sag izāla kyā kartā

    lagī hai aag jo kambal kabhī uḌhāyā hai

    tire barahna se garmī do-shāla kyā kartā

    na kartī aql agar muft āsmāñ sair

    koī ye saat varaq risāla kyā kartā

    mirī taraf jo unheñ khīñchtī kashish dil

    butoñ ko brahmanoñ havāla kyā kartā

    kisī ne mol na pūchhā dil-e-shikasta

    koī ḳharīd ke TuuTā piyāla kyā kartā

    urūs-e-dahr se bū-e-vafā nahīñ aatī

    bhalā jigar maiñ us ke izāla kyā kartā

    mah-e-do-hafta bhī hotā to lutf thā 'ātish'

    akele ke sharāb-e-do-sāla kyā kartā

    jigar ko dagh main manind-e-lala kya karta

    labaalab apne lahu ka piyala kya karta

    mila na sarw ko kuchh apni rasti mein phal

    kulah kaj jo na karta to lala kya karta

    jarida mein rah-e-pur-KHun-e-ishq se guzra

    jaras se qafile mein bahs-e-nala kya karta

    junun-e-ishq mein rahna tha imtiyaz na kuchh

    chakor tauq-e-gulu mah ka haala kya karta

    baja kiya use toDa jo sar se dariya ke

    habab le ke ye KHali piyala kya karta

    na khaya ghussa kabhi KHwanche se qismat ke

    phanse jo halq mein main wo niwala kya karta

    bala-e-bad hui daghon se sardi-e-kafur

    suluk nek zaraat se zhaala kya karta

    diya nawishta na us but ko dil ke tude mein

    KHuda ke ghar ka bhala main qabaala kya karta

    safa hua na riyazat se nafs-e-ammara

    koi najasat-e-sag ka izala kya karta

    lagi hai aag jo kambal kabhi uDhaya hai

    tere barahna se garmi do-shaala kya karta

    na karti aql agar muft aasman ki sair

    koi ye sat waraq ka risala kya karta

    meri taraf jo unhen khinchti kashish dil ki

    buton ko brahmanon ka hawala kya karta

    kisi ne mol na puchha dil-e-shikasta ka

    koi KHarid ke TuTa piyala kya karta

    urus-e-dahr se bu-e-wafa nahin aati

    bhala jigar ka main us ke izala kya karta

    mah-e-do-hafta bhi hota to lutf tha 'atish'

    akele pi ke sharab-e-do-sala kya karta

    Source:

    Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish (Pg. 9)

    • Author: Haidar Ali Aatish
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now