jine se inkar kiya jata hai kya
jiine se inkār kiyā jaatā hai kyā
ḳhud se itnā pyaar kiyā jaatā hai kyā
naqsh-tarāshī kī kāvish taslīm magar
ḳhud ko yuuñ mismār kiyā jaatā hai kyā
ek mukammal dasht-navardī kaafī hai
kār-e-junūñ har baar kiyā jaatā hai kyā
'ishq maraz achchhā to hai lekin ḳhud ko
is darja bīmār kiyā jaatā hai kyā
chāhat kā iz.hār zarūrī hai phir bhī
chāhat kā iz.hār kiyā jaatā hai kyā
aag kā dariyā aag kā dariyā hotā hai
aag kā dariyā paar kiyā jaatā hai kyā
jis lamhe se sadiyoñ kī taufīq mile
vo lamha bekār kiyā jaatā hai kyā
jine se inkar kiya jata hai kya
KHud se itna pyar kiya jata hai kya
naqsh-tarashi ki kawish taslim magar
KHud ko yun mismar kiya jata hai kya
ek mukammal dasht-nawardi kafi hai
kar-e-junun har bar kiya jata hai kya
'ishq maraz achchha to hai lekin KHud ko
is darja bimar kiya jata hai kya
chahat ka izhaar zaruri hai phir bhi
chahat ka izhaar kiya jata hai kya
aag ka dariya aag ka dariya hota hai
aag ka dariya par kiya jata hai kya
jis lamhe se sadiyon ki taufiq mile
wo lamha bekar kiya jata hai kya
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 43)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.