pahle-pahal to pyar raha phir nahin raha
pahle-pahal to pyaar rahā phir nahīñ rahā
ye dil bhī be-qarār rahā phir nahīñ rahā
TuuTā na hausla mirā jab vo judā huā
ḳhud par jo iḳhtiyār rahā phir nahīñ rahā
us se bichhaḌte vaqt maiñ royā to huuñ bahut
kuchh din to sogvār rahā phir nahīñ rahā
patjhaḌ kī pahlī shaam se sub.h-e-kalām tak
vo mere ham-kanār rahā phir nahīñ rahā
sab aazmā ke aa gayā jab vo mirī taraf
pahle to sharmsār rahā phir nahīñ rahā
pahle-pahal to pyar raha phir nahin raha
ye dil bhi be-qarar raha phir nahin raha
TuTa na hausla mera jab wo juda hua
KHud par jo iKHtiyar raha phir nahin raha
us se bichhaDte waqt main roya to hun bahut
kuchh din to sogwar raha phir nahin raha
patjhaD ki pahli sham se subh-e-kalam tak
wo mere ham-kanar raha phir nahin raha
sab aazma ke aa gaya jab wo meri taraf
pahle to sharmsar raha phir nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.