phir yun hua ki saya daraKHton ka jal gaya
phir yuuñ huā ki saaya daraḳhtoñ kā jal gayā
garmī se mere paañv kī rasta pighal gayā
phir yuuñ huā ki chīḳh uThā bām-e-āsmāñ
aur āftāb roz-e-judā.ī kā Dhal gayā
phir yuuñ huā ki paḌ gayā zanjīr meñ shigāf
aur us shigāf se mirā nauha nikal gayā
phir yuuñ huā ki shāḳh-e-badan sansanā uThī
maiñ ne ye samjhā goyā koī tiir chal gayā
phir yuuñ huā ki surḳh daraḳhtoñ kī chhāoñ meñ
mere safed 'ishq kā mausam badal gayā
phir yuuñ huā ki dā.ere meñ aag lag ga.ī
kyā jaane 'ishq kaun sā kar ke 'amal gayā
phir yuuñ huā ki chaḌh gayā tezāb kā nasha
apne hī ḳhuun par mirā paañv phisal gayā
phir yuuñ huā ki chalne lagīñ goliyāñ 'shafaq'
maiñ us galī meñ lauT ke ghuTnoñ ke bal gayā
phir yun hua ki saya daraKHton ka jal gaya
garmi se mere panw ki rasta pighal gaya
phir yun hua ki chiKH uTha baam-e-asman
aur aaftab roz-e-judai ka Dhal gaya
phir yun hua ki paD gaya zanjir mein shigaf
aur us shigaf se mera nauha nikal gaya
phir yun hua ki shaKH-e-badan sansana uThi
main ne ye samjha goya koi tir chal gaya
phir yun hua ki surKH daraKHton ki chhaon mein
mere safed 'ishq ka mausam badal gaya
phir yun hua ki daere mein aag lag gai
kya jaane 'ishq kaun sa kar ke 'amal gaya
phir yun hua ki chaDh gaya tezab ka nasha
apne hi KHun par mera panw phisal gaya
phir yun hua ki chalne lagin goliyan 'shafaq'
main us gali mein lauT ke ghuTnon ke bal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.