tamam dard ko chehre pe iqtibas kiya
tamām dard ko chehre pe iqtibās kiyā
ki ik hañsī ne har ik ġham ko be-libās kiyā
tumhārā hausla rakhne ko hañs diye varna
tumhārī baat ne ham ko sivā udaas kiyā
na rāste kī ḳhabar hī rahī na manzil kī
safar ke shauq ne kis darja bad-havās kiyā
jahāñ se uTh ke chale the jahāñ-navardī ko
safar tamām usī dar ke ās-pās kiyā
faqat ḳhushī hī se vāqif thī nā-samajh ab tak
nazar ko kitnī mashaqqat se ġham-shanās kiyā
vo jis ko kah ke koī bhuul bhī gayā kab kā
tamām 'umr us ik baat kā hī paas kiyā
har ek shai kī zarūrat paḌī kahānī meñ
kabhī ḳhushī to kabhī ġham se iltimās kiyā
tamam dard ko chehre pe iqtibas kiya
ki ek hansi ne har ek gham ko be-libas kiya
tumhaara hausla rakhne ko hans diye warna
tumhaari baat ne hum ko siwa udas kiya
na raste ki KHabar hi rahi na manzil ki
safar ke shauq ne kis darja bad-hawas kiya
jahan se uTh ke chale the jahan-nawardi ko
safar tamam usi dar ke aas-pas kiya
faqat KHushi hi se waqif thi na-samajh ab tak
nazar ko kitni mashaqqat se gham-shanas kiya
wo jis ko kah ke koi bhul bhi gaya kab ka
tamam 'umr us ek baat ka hi pas kiya
har ek shai ki zarurat paDi kahani mein
kabhi KHushi to kabhi gham se iltimas kiya
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 121)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.