tere karam ne mujhe kar liya qubul magar
Interesting Fact
یہ نظم مصطفٰی زیدی نے اپنی شریکِ حیات " ویرا زیدی " کے نام لکھی۔
tire karam ne mujhe kar liyā qubūl magar
mire junūñ se mohabbat kā haq adā na huā
tire ġhamoñ ne mire har nashāt ko samjhā
mirā nashāt tire ġham se āshnā na huā
kahāñ kahāñ na mire paañv laḌkhaḌā.e magar
tirā sabāt 'ajab thā ki hādisa na huā
tire dukhoñ ne pukārā to maiñ qarīb na thā
mire ġhamoñ ne sadā dī to fāsla na huā
hazār dashna-o-ḳhanjar the mere lahje meñ
tirī zabāñ pe kabhī harf-e-nā-ravā na huā
hazār sham'oñ kā bantā rahā maiñ parvāna
kisī kā ghar tire dil meñ mire sivā na huā
mirī siyāhī-e-dāman ko dekhne par bhī
tire safed dupaTToñ kā dil burā na havā
tere karam ne mujhe kar liya qubul magar
mere junun se mohabbat ka haq ada na hua
tere ghamon ne mere har nashat ko samjha
mera nashat tere gham se aashna na hua
kahan kahan na mere panw laDkhaDae magar
tera sabaat 'ajab tha ki hadisa na hua
tere dukhon ne pukara to main qarib na tha
mere ghamon ne sada di to fasla na hua
hazar dashna-o-KHanjar the mere lahje mein
teri zaban pe kabhi harf-e-na-rawa na hua
hazar sham'on ka banta raha main parwana
kisi ka ghar tere dil mein mere siwa na hua
meri siyahi-e-daman ko dekhne par bhi
tere safed dupaTTon ka dil bura na hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.