Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuTe hue diye ko sunsan shab mein rakkha

Mohammad Ahmad

TuTe hue diye ko sunsan shab mein rakkha

Mohammad Ahmad

MORE BYMohammad Ahmad

    TuuTe hue diye ko sunsān shab meñ rakkhā

    us par mirī zabāñ ko hadd-e-adab meñ rakkhā

    kis ne sikhāyā saa.il ko bhuuk tarāna

    phir kis ne ke kaasa dast-e-talab meñ rakkhā

    muflis chhat ke nīche kumhlā ga.e haiñ bachche

    phūloñ ko ke kis ne chashm-e-ġhazab meñ rakkhā

    parvardigār ne to taqvā baat thī

    tum ne fazīlatoñ ko nām-o-nasab meñ rakkhā

    dar-asl tum se mil kar maiñ ḳhud se mil sakūñgā

    bas ek sabab hai dārussabab meñ rakkhā

    bas dil anjuman hai yādoñ ke nastaran haiñ

    ab aur kyā hai baaqī is jāñ-ba-lab meñ rakkhā

    'ahmad' meñ baat dil kahtā to kis se kahtā

    naġhma sukūt thā shor-o-shaġhab meñ rakkhā

    TuTe hue diye ko sunsan shab mein rakkha

    us par meri zaban ko hadd-e-adab mein rakkha

    kis ne sikhaya sail ko bhuk ka tarana

    phir kis ne la ke kasa dast-e-talab mein rakkha

    muflis ki chhat ke niche kumhla gae hain bachche

    phulon ko la ke kis ne chashm-e-ghazab mein rakkha

    parwardigar ne to taqwa ki baat ki thi

    tum ne fazilaton ko nam-o-nasab mein rakkha

    dar-asl tum se mil kar main KHud se mil sakunga

    bas ek hi sabab hai darussabab mein rakkha

    bas dil ki anjuman hai yaadon ke nastaran hain

    ab aur kya hai baqi is jaan-ba-lab mein rakkha

    'ahmad' mein baat dil ki kahta to kis se kahta

    naghma sukut ka tha shor-o-shaghab mein rakkha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now