bambai
kahte haiñ ki bamba.ī sitāroñ kā shahr hai
mahtāb-jabīñ zohra-nigāroñ kā shahr hai
ik husn-e-farāvāñ hai jahāñ dekh jidhar dekh
ye shahr jidhar dekh bahāroñ kā shahr hai
mauqūf nahīñ ziist yahāñ bas man-o-tū par
ik do kā nahīñ hai ye hazāroñ kā shahr hai
ik dil hai nichhāvar karūñ kis kis kī adā par
ye shahr to saarā adā-kāroñ kā shahr hai
is shahr kā har gosha hai sad-rashk-e-gulistāñ
ye shahr-e-chaman hai chaman-zāroñ kā shahr hai
kahte hain ki bambai sitaron ka shahr hai
mahtab-jabin zohra-nigaron ka shahr hai
ek husn-e-farawan hai jahan dekh jidhar dekh
ye shahr jidhar dekh bahaaron ka shahr hai
mauquf nahin zist yahan bas man-o-tu par
ek do ka nahin hai ye hazaron ka shahr hai
ek dil hai nichhawar karun kis kis ki ada par
ye shahr to sara ada-karon ka shahr hai
is shahr ka har gosha hai sad-rashk-e-gulistan
ye shahr-e-chaman hai chaman-zaron ka shahr hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.