charson ki hifazat
ki laao kahīñ se
ḳhalā se kahīñ se
na.e auzān aur alfāz
hoñ jazbāt bhī taaza na.e bilkul
nayā do kuchh hameñ ab sab purānā ho chukā hai
ḳhair tum uktā ga.e ho in manāzir se dafātir se
hukūmat se kitāboñ se tanāzur se
nayā in meñ kahīñ kuchh bhī nahīñ
sab kuchh purānā hai shafaq sūraj zamīñ taare
kisī paikar meñ Dhalte hī nahīñ
sabhī kuchh dekh baiThe ho
na.ī tārīḳh likhnā chāhte ho
sab purānā lag rahā hai rivāyat kyā samā'at kyā
tarāsho ek chehra aur banāo ek mūrat
ik badan aisā ghaḌo
charsoñ meñ jis kī
ik nagīna ho na.e alfāz kā na.e auzān kā
sote kañval ko thaam lenā aur bonā tuḳhm us meñ
aur utar jaanā jilau meñ naaf tak us kī
zarā bhī shor mat karnā
zarā sī buuñd Tapkegī
pasīna poñchh lenā 'arq-rezī kī zarūrat hī nahīñ
nauzā.ida bachcha tumhāre sāmne hogā
na.e auzān kī barkat
na.e alfāz kā samra
na.ī taḳhlīq kā paikar
ki lao kahin se
KHala se kahin se
nae auzan aur alfaz
hon jazbaat bhi taza nae bilkul
naya do kuchh hamein ab sab purana ho chuka hai
KHair tum ukta gae ho in manazir se dafatir se
hukumat se kitabon se tanazur se
naya in mein kahin kuchh bhi nahin
sab kuchh purana hai shafaq suraj zamin tare
kisi paikar mein Dhalte hi nahin
sabhi kuchh dekh baiThe ho
nai tariKH likhna chahte ho
sab purana lag raha hai riwayat kya sama'at kya
tarasho ek chehra aur banao ek murat
ek badan aisa ghaDo
charson mein jis ki
ek nagina ho nae alfaz ka nae auzan ka
sote kanwal ko tham lena aur bona tuKHm us mein
aur utar jaana jilau mein naf tak us ki
zara bhi shor mat karna
zara si bund Tapkegi
pasina ponchh lena 'arq-rezi ki zarurat hi nahin
nauzaida bachcha tumhaare samne hoga
nae auzan ki barkat
nae alfaz ka samra
nai taKHliq ka paikar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.