ek kahani
baat hai kaafī purānī ek chhoTe gaañv meñ
ek sāhab loTte rahte the ThanDī chhāñv meñ
kuchh mashaqqat aur mehnat se na un kā kaam thā
bechte the duudh un kā shaiḳh-chillī naam thā
shaiḳh-chillī be-vaqūfī ke liye mash.hūr the
bhāñg ke nashshe meñ rahte the sadā hī chuur se
ek din vo bālTī ik duudh kī sar par rakhe
jā rahe the shahr ke raste pe kuchh kuchh sochte
der hone kā ḳhayāl aayā to jaldī se baḌhe
aur phir kuchh soch kar khaTke ruke phir chal paḌe
dil meñ ye sochā ki jo kuchh duudh ke paise mileñ
in ko chaT karne ke badle kyoñ na anDe mol leñ
biis anDe to bilā-shakk-o-shub.h mil jā.eñge
aur kuchh din baa'd bachche bhī nikal hī ā.eñge
ḳhuub daana un ko dūñgā aur karūñgā dekh-bhāl
bante bante murġhiyāñ murġhe lagegā ek saal
ḳhuub anDe hoñge kuchh bechūñgā kuchh khā jā.ūñgā
ek do moTe se murġhe bhī safā kar jā.ūñgā
aur phir un murġhiyoñ ko ūñche dāmoñ bech kar
ek gaa.e mol lūñgā moTī-tāzī dekh kar
gaa.e se phir bhaiñs hogī bhaiñs se hogī dukān
dhīre dhīre ek achchhā sā banā lūñgā makān
kuchh dinoñ meñ maiñ baḌā ik aadmī ban jā.ūñgā
shaiḳh-chillī kī bajā.e shaiḳh-jī kahlā.ūñgā
sab mirī 'izzat kareñge ḳhuub hogā merā naam
ye ḳhayāl aate hī gardan zor se un kī hilī
bālTī kā duudh saarā rāste meñ bah gayā
shaiḳh-chillī kā havā.ī mahl saarā Dhah gayā
baat hai kafi purani ek chhoTe ganw mein
ek sahab loTte rahte the ThanDi chhanw mein
kuchh mashaqqat aur mehnat se na un ka kaam tha
bechte the dudh un ka shaiKH-chilli nam tha
shaiKH-chilli be-waqufi ke liye mashhur the
bhang ke nashshe mein rahte the sada hi chur se
ek din wo baalTi ek dudh ki sar par rakhe
ja rahe the shahr ke raste pe kuchh kuchh sochte
der hone ka KHayal aaya to jaldi se baDhe
aur phir kuchh soch kar khaTke ruke phir chal paDe
dil mein ye socha ki jo kuchh dudh ke paise milen
in ko chaT karne ke badle kyon na anDe mol len
bis anDe to bila-shakk-o-shubh mil jaenge
aur kuchh din ba'd bachche bhi nikal hi aaenge
KHub dana un ko dunga aur karunga dekh-bhaal
bante bante murghiyan murghe lagega ek sal
KHub anDe honge kuchh bechunga kuchh kha jaunga
ek do moTe se murghe bhi safa kar jaunga
aur phir un murghiyon ko unche damon bech kar
ek gae mol lunga moTi-tazi dekh kar
gae se phir bhains hogi bhains se hogi dukan
dhire dhire ek achchha sa bana lunga makan
kuchh dinon mein main baDa ek aadmi ban jaunga
shaiKH-chilli ki bajae shaiKH-ji kahlaunga
sab meri 'izzat karenge KHub hoga mera nam
ye KHayal aate hi gardan zor se un ki hili
baalTi ka dudh sara raste mein bah gaya
shaiKH-chilli ka hawai mahl sara Dhah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.