Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghazal kya hai

Hafiz Karnataki

ghazal kya hai

Hafiz Karnataki

MORE BYHafiz Karnataki

    hai ġhazal meñ zindagī se guftugū

    kahte haiñ urdu hai ye aabrū

    haañ ġhazal meñ āshiqī aks hai

    mai-kade raushnī aks hai

    sher is ke yaad rakkhe jaate haiñ

    bachcho ye har ik ke dil ko bhāte haiñ

    'mīr'-o-'ġhālib' ġhazal mash.hūr hai

    is meñ ishq-o-falsafa nuur hai

    hai ġhazal hindī meñ īrānī meñ hai

    ik nasha is ke sheroñ meñ hai

    sher ġhazloñ har ik āzād hai

    husn aur hikmat se jo ābād hai

    nazm par bachcho ġhazal bhārī huī

    is shohrat baḌh rahī hai aaj bhī

    ban ke kyoñ bachchoñ shā.ir rahūñ

    ab ġhazal 'hāfiz' koī achchhī kahūñ

    hai ghazal mein zindagi se guftugu

    kahte hain urdu ki hai ye aabru

    han ghazal mein aashiqi ka aks hai

    mai-kade ki raushni ka aks hai

    sher is ke yaad rakkhe jate hain

    bachcho ye har ek ke dil ko bhate hain

    'mir'-o-'ghaalib' ki ghazal mashhur hai

    is mein ishq-o-falsafa ka nur hai

    hai ghazal hindi mein irani mein hai

    ek nasha sa is ke sheron hi mein hai

    sher ghazlon ka har ek aazad hai

    husn aur hikmat se jo aabaad hai

    nazm par bachcho ghazal bhaari hui

    is ki shohrat baDh rahi hai aaj bhi

    ban ke kyon bachchon ka shair hi rahun

    ab ghazal 'hafiz' koi achchhi kahun

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now