harf-e-aKHir
nazar uThā ke zarā dekh ai matā'-e-jāñ
hamāre sar pe judā.ī kā vaqt aa pahuñchā
maiñ kyā batā.ūñ ki is pal ko Tālne ke liye
du'ā vazīfe bhalā kaun se jatan na kiye
‘azīz-e-man jo bhī āyāt mujh ko azbar thiiñ
bas ek saañs meñ paḌh paḌh ke sab kī sab phūñkī
magar ai jān-e-tamannā ye shūmī-e-qismat
likhī hai apne muqaddar meñ bas tirī furqat
so bas yahīñ se hameñ rasta bāñTnā hogā
aur is ke aage safar tanhā kāTnā hogā
tumhāre baa'd agarche haiñ manzileñ mā'dūm
kidhar se jaanā hai kis samt ko ḳhudā mā'lūm
mirī to ḳhair hai lekin tum ai mire hamdam
damakte rahnā har ik bazm meñ yūñhī har dam
matā'-e-jāñ mirā hargiz na ġham satā.e tumheñ
du'ā hai har ḳhushī jīvan kī raas aa.e tumheñ
bas iltijā hai kabhī ḳhvāb meñ milā karnā
agar jo bhūle se yaad aa.uuñ to du'ā karnā
magar ai dost ye mumkin hī kis tarah hai bhalā
ki apnī tīra-nasībī kā hai 'ajab qissa
ham aise log sadā be-murād rahte haiñ
hamāre jaise kise yād-vād rahte haiñ
nazar uTha ke zara dekh ai mata'-e-jaan
hamare sar pe judai ka waqt aa pahuncha
main kya bataun ki is pal ko Talne ke liye
du'a wazife bhala kaun se jatan na kiye
‘aziz-e-man jo bhi aayat mujh ko azbar thin
bas ek sans mein paDh paDh ke sab ki sab phunki
magar ai jaan-e-tamanna ye shumi-e-qismat
likhi hai apne muqaddar mein bas teri furqat
so bas yahin se hamein rasta banTna hoga
aur is ke aage safar tanha kaTna hoga
tumhaare ba'd agarche hain manzilen ma'dum
kidhar se jaana hai kis samt ko KHuda ma'lum
meri to KHair hai lekin tum ai mere hamdam
damakte rahna har ek bazm mein yunhi har dam
mata'-e-jaan mera hargiz na gham satae tumhein
du'a hai har KHushi jiwan ki ras aae tumhein
bas iltija hai kabhi KHwab mein mila karna
agar jo bhule se yaad aaun to du'a karna
magar ai dost ye mumkin hi kis tarah hai bhala
ki apni tira-nasibi ka hai 'ajab qissa
hum aise log sada be-murad rahte hain
hamare jaise kise yaad-wad rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.