jo har surat se Khaali hai
abhī tak mere takiye par
tirī ḳhushbū mahaktī hai
abhī bhī merī āñkhoñ meñ
umīdeñ ārzūeñ haiñ
magar in meñ kahīñ par bhī
tire aane kī halkī sī
koī sūrat nahīñ dikhtī
mirī āñkhoñ meñ ab bhī haiñ
vo guzre saal ke lamhe
ki jin lamhoñ meñ tum mujh se
vafā kā 'ahd karte the
mujhe khone se Darte the
mirī tasvīr āñkhoñ meñ
chhupāte phir rahe the tum
vo chehra lā'l-e-ahmar hai
vo āñkheñ bhī ġhazālī haiñ
vo ruḳhsāroñ pe gul afshāñ
vo hoñToñ par jo laalī hai
use qudrat ne baḳhshā hai
hasīñ āvāz kā paikar
vo ḳhush-lahja vo ḳhush-naġhma
jahāñ bhar se nirālī hai
ye gā gā kar zamāne ko
batāte phir rahe the tum
vo guzre saal ke lamhe
kahīñ to kho chuke haiñ ab
na lahjoñ meñ namī hai aur
na āñkheñ hī ġhazālī haiñ
na rangat phuul jaisī hai
na hoñToñ par vo laalī hai
udāsī ne mire ghar meñ
jagah apnī banā lī hai
faqat ik jism baaqī hai
jo har sūrat se ḳhālī hai
abhi tak mere takiye par
teri KHushbu mahakti hai
abhi bhi meri aankhon mein
umiden aarzuen hain
magar in mein kahin par bhi
tere aane ki halki si
koi surat nahin dikhti
meri aankhon mein ab bhi hain
wo guzre sal ke lamhe
ki jin lamhon mein tum mujh se
wafa ka 'ahd karte the
mujhe khone se Darte the
meri taswir aankhon mein
chhupate phir rahe the tum
wo chehra la'l-e-ahmar hai
wo aankhen bhi ghazali hain
wo ruKHsaron pe gul afshan
wo honTon par jo lali hai
use qudrat ne baKHsha hai
hasin aawaz ka paikar
wo KHush-lahja wo KHush-naghma
jahan bhar se nirali hai
ye ga ga kar zamane ko
batate phir rahe the tum
wo guzre sal ke lamhe
kahin to kho chuke hain ab
na lahjon mein nami hai aur
na aankhen hi ghazali hain
na rangat phul jaisi hai
na honTon par wo lali hai
udasi ne mere ghar mein
jagah apni bana li hai
faqat ek jism baqi hai
jo har surat se KHali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.