junun
log duniyā ke usūloñ se nibhāte haiñ magar
mujh ko duniyā ke usūloñ ko badal denā hai
log ghuT-ghuT ke bhī jī lete haiñ lekin mujh ko
jo mire dil meñ hai vo zahr ugal denā hai
varna ye zahr mirī ruuh meñ ghul jā.egā
is liye is ko ugalnā hī bahut achchhā hai
zahr ye sabr kī had se na guzar jaa.e kahīñ
dil se ab is kā nikalnā hī bahut achchhā hai
kuchh kī taḳhrīb se tā'mīr bhī ho jaatī hai
ye bhī mumkin hai ki taḳhrīb ye tā'mīr bane
ye bhī mumkin hai ki rishtoñ meñ darāḌ aa jaa.e
ye bhī mumkin hai ki is se mirī taqdīr bane
'ishq pāband-e-rusūmāt-o-rivāyāt nahīñ
mujh se nārāz ho duniyā to koī baat nahīñ
apne jazbāt kā iz.hār to karnā hogā
dil ko haq lene pe tayyār to karnā hogā
tujh ko paanā hai to ik shor machā denā hai
varna ḳhāmosh tujhe dil se bhulā denā hai
log duniya ke usulon se nibhate hain magar
mujh ko duniya ke usulon ko badal dena hai
log ghuT-ghuT ke bhi ji lete hain lekin mujh ko
jo mere dil mein hai wo zahr ugal dena hai
warna ye zahr meri ruh mein ghul jaega
is liye is ko ugalna hi bahut achchha hai
zahr ye sabr ki had se na guzar jae kahin
dil se ab is ka nikalna hi bahut achchha hai
kuchh ki taKHrib se ta'mir bhi ho jati hai
ye bhi mumkin hai ki taKHrib ye ta'mir bane
ye bhi mumkin hai ki rishton mein daraD aa jae
ye bhi mumkin hai ki is se meri taqdir bane
'ishq paband-e-rusumat-o-riwayat nahin
mujh se naraaz ho duniya to koi baat nahin
apne jazbaat ka izhaar to karna hoga
dil ko haq lene pe tayyar to karna hoga
tujh ko pana hai to ek shor macha dena hai
warna KHamosh tujhe dil se bhula dena hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.