ma’zarat
barham mizāj-e-vaqt hai ai mere ham-nashīñ
ab bārgāh-e-husn meñ jhuktī nahīñ jabīñ
jabr-e-ġham-e-hayāt ke sadqe tirā ḳhayāl
bār-e-ġham-e-ma'āsh par qurbān ho gayā
vo dil jo terī yaad se ābād thā kabhī
badlā mizāj-e-vaqt to vīrān ho gayā
barsoñ bune jo ḳhvāb vo lamhoñ meñ jal ga.e
qismat kī ye ḳhatā hai ḳhatāvār maiñ nahīñ
ḳhushiyoñ ke giit dard ke sāñche meñ Dhal ga.e
hai vaqt kā qusūr gunahgār maiñ nahīñ
ab aur koī ḳhvāb batā kaise dekh luuñ
dekhe jo ḳhvāb un kā tū anjām dekh le
mujh ko tirā ḳhayāl nahīñ ye gila bajā
lekin zarā hayāt ke ālām dekh le
aisā nahīñ ki tujh se mohabbat nahīñ mujhe
lekin ġham-e-hayāt se fursat nahīñ mujhe
barham mizaj-e-waqt hai ai mere ham-nashin
ab bargah-e-husn mein jhukti nahin jabin
jabr-e-gham-e-hayat ke sadqe tera KHayal
bar-e-gham-e-ma'ash par qurban ho gaya
wo dil jo teri yaad se aabaad tha kabhi
badla mizaj-e-waqt to viran ho gaya
barson bune jo KHwab wo lamhon mein jal gae
qismat ki ye KHata hai KHatawar main nahin
KHushiyon ke git dard ke sanche mein Dhal gae
hai waqt ka qusur gunahgar main nahin
ab aur koi KHwab bata kaise dekh lun
dekhe jo KHwab un ka tu anjam dekh le
mujh ko tera KHayal nahin ye gila baja
lekin zara hayat ke aalam dekh le
aisa nahin ki tujh se mohabbat nahin mujhe
lekin gham-e-hayat se fursat nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.