mahatma budh
buddhā 'azīm shaḳhs thā
jo taḳht-o-tāj chhoḌ kar
butān-e-nasl-o-qaumiyat
vaqār-e-‘izz-o-saltanat
ġhurūr-e-jāh-o-martabat
ke bandhanoñ ko toḌ kar
ba-zer-e-sāya-e-shajar
tapasyā meñ mahv thā
giyān dhyān meñ magan
na.ī ravish ḳhayāl meñ
jo aadmī ko aadmī ke zulm se najāt de
jo zaat paat ke tilism-e-sāmarī ko maat de
barahmanoñ kī qadġhanoñ kā zor pāsh-pāsh ho
jahāñ meñ jo añdher hai use shikast-e-fāsh ho
vo sochtā chalā gayā use surāġh mil gayā
mahātmā mahātmā 'azīm us kī aatmā
ki jis ke dil meñ karb-e-kā.enāt thā
satūda-e-sifāt thā
pukār kar kahā ki ai jahān-e-ġham ke bāsiyo
mirī sadā ko to suno
ahinsā-parmo-dharmā ik usūl-e-lā-zavāl hai
ye fikr be-nazīr hai ye soch be-misāl hai
kisī ko dukh na do ki ye gunāh hai vabāl hai
jo is se munharif hue to zindagī muhāl hai
yahī hai rāz-e-zindagī
tarīq-e-sulh-o-āshtī
yahī najāt-e-rūh hai
yahī hai dil kī shāñtī
mahātmā 'azīm thā
mahātmā ne sach kahā
buddha 'azim shaKHs tha
jo taKHt-o-taj chhoD kar
butan-e-nasl-o-qaumiyat
waqar-e-‘izz-o-saltanat
ghurur-e-jah-o-martabat
ke bandhanon ko toD kar
ba-zer-e-saya-e-shajar
tapasya mein mahw tha
giyan dhyan mein magan
nai rawish KHayal mein
jo aadmi ko aadmi ke zulm se najat de
jo zat pat ke tilism-e-samari ko mat de
barahmanon ki qadghanon ka zor pash-pash ho
jahan mein jo andher hai use shikast-e-fash ho
wo sochta chala gaya use suragh mil gaya
mahatma mahatma 'azim us ki aatma
ki jis ke dil mein karb-e-kaenat tha
satuda-e-sifat tha
pukar kar kaha ki ai jahan-e-gham ke basiyo
meri sada ko to suno
ahinsa-parmo-dharma ek usul-e-la-zawal hai
ye fikr be-nazir hai ye soch be-misal hai
kisi ko dukh na do ki ye gunah hai wabaal hai
jo is se munharif hue to zindagi muhaal hai
yahi hai raaz-e-zindagi
tariq-e-sulh-o-ashti
yahi najat-e-ruh hai
yahi hai dil ki shanti
mahatma 'azim tha
mahatma ne sach kaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.