Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri zindagi ke do ruKH

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

meri zindagi ke do ruKH

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    ek ruḳh

    sāz-e-darūñ se jal na uTheñ jism-o-jāñ kahīñ

    rag rag na merī phūñk de qalb-e-tapāñ kahīñ

    gum-sum huuñ aur shashdar-o-hairāñ kuchh is tarah

    jaise ki kho chukā huuñ maiñ rūh-e-ravāñ kahīñ

    us naav tarah huuñ maiñ maujoñ ke rahm par

    lañgar ho jis ke TuuTe kahīñ bādbāñ kahīñ

    mast naaz sarv koī nihāl-e-sabz

    aa jaa.e zid meñ barq jo nā-gahāñ kahīñ

    jis tarah bahār meñ murġh-e-shikasta par

    hasrat se dekhtā huuñ sū-e-asmāñ kahīñ

    maġhlūb is qadar huuñ maiñ ehsās-e-ġham se aaj

    kho jaa.e siskiyoñ meñ na ye dāstāñ kahīñ

    biite dinoñ ke ḳhvāb haiñ āñkhoñ ke sāmne

    fardā ek ḳhauf hai dil meñ nihāñ kahīñ

    nikle the jab vatan se ham apne ba-hāl-e-zār

    manzil thā ḳhayāl na nām-o-nishāñ kahīñ

    kuchh aisī muntashir huī dostī bazm

    patte bikher detī hai jaise ḳhizāñ kahīñ

    zinda hai yaar sohbateñ baaqī magar kahāñ

    dīvār khiñch ga.ī hai na.ī darmiyāñ kahīñ

    fardā pe kyā yaqīn ho nālāñ huuñ haal par

    maazī samt le chale umr-e-ravāñ kahīñ

    bād-e-sabā ke shānoñ pe amvāj-e-nūr par

    le jaao mujh ko dostoñ ke darmiyāñ kahīñ

    sham.a merī yādoñ gul kar do ek ek

    tārīk dil gosha na ho zau-fishāñ kahīñ

    rūdād-e-ġham sunāte yuuñ aa.ī un yaad

    maiñ huuñ kahīñ ḳhayāl kahīñ dāstāñ kahīñ

    ojhal haiñ go nigāh se dil se kahīñ haiñ duur

    zikr-e-habīb ab bhī hai vird-e-zabāñ kahīñ

    dūsrā ruḳh

    kyoñ inqilāb-e-dahr se ab muztarib hai

    dekhā hai ek haal pe daur-e-zamāñ kahīñ

    āġhosh-e-inqalāb meñ palnā hai irtiqā

    mar jaa.eñ ghuT ke badleñ na gar ye jahāñ kahīñ

    mahshar-ba-dāmāñ lahja hai duniyā ek ek

    maazī ke DhūñDhtā hai magar nishāñ kahīñ

    tūfāñ ne baḌh ke qasr ko qaisar ke liyā

    rotā hai ki merā nahīñ āshiyāñ kahīñ

    paiham ravāñ hai nit na.ī manzil raah meñ

    ruktā hai zindagī bhalā kārvāñ kahīñ

    dukh dard aate dekh ke hotā hai ye gumāñ

    ho zabt hamāre na ye imtihāñ kahīñ

    aa.ī ḳhizāñ bahār bhī hogī qarīb

    fitrat ye na raaz ho ġham meñ nihāñ kahīñ

    kab tak rahm khā.egā ḳhud apne haal par

    kab tak tirī talāsh dil-e-mehrbāñ kahīñ

    ḳhush kar na kisī ko qasīde sunā sunā

    jhukne na paa.e sar ba-dar-e-āstāñ kahīñ

    fursat kahāñ kise jo terā hāl-e-ġham sune

    duniyāñ ko apnī kam hai pareshāniyāñ kahīñ

    siine ke apne ghaav ko hañs hañs ke chhupā

    duniyā pe hone paa.e na hargiz ayaañ kahīñ

    ġham ke tarāne chhoḌ ke ḳhushiyoñ ke giit

    mushkil ko sahal karte haiñ āh-o-fuġhāñ kahīñ

    pā-e-talab na lañg ho aur azm ho javāñ

    mard-e-ḳhudā pe tañg hai hindostāñ kahīñ

    go sabr-āzmā hai masāfat mushkileñ

    haa.il hai rāh-e-shauq meñ sañg-e-girāñ kahīñ

    chhūTā chaman hai ek hazāroñ nazar meñ haiñ

    phir hogā shāḳh-e-gul pe nayā āshiyāñ kahīñ

    sahn-e-chaman meñ dhuum se jā.egī phir bahār

    ḳhanda hai gul tuyūr bhī hai naġhma-ḳhvāñ kahīñ

    luT kar 'habīb' ḳhush hai ki tājir hai shauq

    hai fikr-e-rozgār na sūd-o-ziyāñ kahīñ

    ek ruKH

    saz-e-darun se jal na uThen jism-o-jaan kahin

    rag rag na meri phunk de qalb-e-tapan kahin

    gum-sum hun aur shashdar-o-hairan kuchh is tarah

    jaise ki kho chuka hun main ruh-e-rawan kahin

    us naw ki tarah hun main maujon ke rahm par

    langar ho jis ke TuTe kahin baadban kahin

    ya mast naz sarw sa koi nihaal-e-sabz

    aa jae zid mein barq ki jo na-gahan kahin

    ya jis tarah bahaar mein murgh-e-shikasta par

    hasrat se dekhta hun su-e-asman kahin

    maghlub is qadar hun main ehsas-e-gham se aaj

    kho jae siskiyon mein na ye dastan kahin

    bite dinon ke KHwab hain aankhon ke samne

    farda ka ek KHauf hai dil mein nihan kahin

    nikle the jab watan se hum apne ba-haal-e-zar

    manzil ka tha KHayal na nam-o-nishan kahin

    kuchh aisi muntashir si hui dosti ki bazm

    patte bikher deti hai jaise KHizan kahin

    zinda hai yar sohbaten baqi magar kahan

    diwar khinch gai hai nai darmiyan kahin

    farda pe kya yaqin ho nalan hun haal par

    mazi ki samt le chale umr-e-rawan kahin

    baad-e-saba ke shanon pe amwaj-e-nur par

    le jao mujh ko doston ke darmiyan kahin

    ya shama meri yaadon ki gul kar do ek ek

    tarik dil ka gosha na ho zau-fishan kahin

    rudad-e-gham sunate hi yun aai un ki yaad

    main hun kahin KHayal kahin dastan kahin

    ojhal hain go nigah se dil se kahin hain dur

    zikr-e-habib ab bhi hai wird-e-zaban kahin

    dusra ruKH

    kyon inqilab-e-dahr se ab muztarib hai tu

    dekha hai ek haal pe daur-e-zaman kahin

    aaghosh-e-inqalab mein palna hai irtiqa

    mar jaen ghuT ke badlen na gar ye jahan kahin

    mahshar-ba-daman lahja hai duniya ka ek ek

    mazi ke DhunDhta hai magar tu nishan kahin

    tufan ne baDh ke qasr ko qaisar ke ja liya

    rota hai tu ki mera nahin aashiyan kahin

    paiham rawan hai nit nai manzil ki rah mein

    rukta hai zindagi ka bhala karwan kahin

    dukh dard aate dekh ke hota hai ye guman

    ho zabt ka hamare na ye imtihan kahin

    aai KHizan bahaar bhi hogi qarib hi

    fitrat ka ye na raaz ho gham mein nihan kahin

    kab tak tu rahm khaega KHud apne haal par

    kab tak teri talash dil-e-mehrban kahin

    KHush kar na tu kisi ko qaside suna suna

    jhukne na pae sar ba-dar-e-astan kahin

    fursat kahan kise jo tera haal-e-gham sune

    duniyan ko apni kam hai pareshaniyan kahin

    sine ke apne ghaw ko hans hans ke tu chhupa

    duniya pe hone pae na hargiz ayan kahin

    gham ke tarane chhoD ke KHushiyon ke git ga

    mushkil ko sahal karte hain aah-o-fughan kahin

    pa-e-talab na lang ho aur azm ho jawan

    mard-e-KHuda pe tang hai hindostan kahin

    go sabr-azma hai masafat ki mushkilen

    hail hai rah-e-shauq mein sang-e-giran kahin

    chhuTa chaman hai ek hazaron nazar mein hain

    phir hoga shaKH-e-gul pe naya aashiyan kahin

    sahn-e-chaman mein dhum se jaegi phir bahaar

    KHanda hai gul tuyur bhi hai naghma-KHwan kahin

    luT kar 'habib' KHush hai ki tajir hai shauq ka

    hai fikr-e-rozgar na sud-o-ziyan kahin

    Source:

    نغمۂ زندگی (Pg. 86)

    • Author: جے کرشن چودھری حبیب
      • Publisher: جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now